اردو हिंदी
Zard chehron se nikalti raushni achchhi nahin | Shaahi Shayari
zard chehron se nikalti raushni achchhi nahin

Ghazal

Zard chehron se nikalti raushni achchhi nahin

Sibt Ali Saba

;

zard chehron se nikalti raushni achchhi nahin
shahr ki galiyon mein ab aawargi achchhi nahin

zinda rahna hai to har bahrupiye ke sath chal
makr ki tira-faza mein sadgi achchhi nahin

kis ne izn-e-qatl de kar sadgi se kah diya
aadmi ki aadmi se dushmani achchhi nahin

jab mere bachche mere waris hain un ke jism mein
sochta hun hiddat-e-KHun ki kami achchhi nahin

gosh-bar-awaz hain kamre ki diwaren 'saba'
taKHliye mein KHud se achchhi baat bhi achchhi nahin