اردو हिंदी
Zara si baat se manzar badal bhi sakta tha | Shaahi Shayari
zara si baat se manzar badal bhi sakta tha

Ghazal

Zara si baat se manzar badal bhi sakta tha

Iqbal Anjum

;

zara si baat se manzar badal bhi sakta tha
jo hadisa hua basti mein Tal bhi sakta tha

gila na kar meri raftar ka ye bojh bhi dekh
main sab ke sath hun aage nikal bhi sakta tha

hawaen us ke mere darmiyan rahti thin
qarib hote hue dasht jal bhi sakta tha

chalen wo aandhiyan rishta zamin se TuT gaya
ghana daraKHt abhi phul-phal bhi sakta tha

bas ek pal ne mujhe qaid kar liya 'anjum'
main jab giraft se us ki nikal bhi sakta tha