zara si baat pe har rasm toD aaya tha
dil-e-tabah ne bhi kya mizaj paya tha
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
abhi to main use pahchan bhi na paya tha
muaf kar na saki meri zindagi mujh ko
wo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha
shagufta phul simaT kar kali bane jaise
kuchh is kamal se tu ne badan churaya tha
pata nahin ki mere baad un pe kya guzri
main chand KHwab zamane mein chhoD aaya tha
Ghazal
Zara si baat pe har rasm toD aaya tha
Jaan Nisar Akhtar