اردو हिंदी
Zara sa waqt kahin be-sabab guzarte hain | Shaahi Shayari
zara sa waqt kahin be-sabab guzarte hain

Ghazal

Zara sa waqt kahin be-sabab guzarte hain

Irfan Siddiqi

;

zara sa waqt kahin be-sabab guzarte hain
chalo ye sham sar-e-ju-e-lab guzarte hain

tu ek charagh-e-jahan-e-digar hai kya jaane
hum is zamin pe kis tarah shab guzarte hain

hamara ishq hi kya hai guzarne wale
yahan to nazr mein nam o nasab guzarte hain

KHiraj mang rahi hai wo shah-banu-e-shahr
so hum bhi hadiya-e-dast-e-talab guzarte hain

suna to hoga ki jangal mein mor nachta hai
hum is KHarabe mein fasl-e-tarab guzarte hain