zara ishaara hua aasman ke andar se
dua pahunch bhi gai KHak-dan ke andar se
kahani phail rahi hai usi ke chaaron taraf
nikalna tha jise dastan ke andar se
mujhe paDaw mein KHatra safar se baDh kar hai
ki rahzan hai mere karwan ke andar se
tu mujh mein aa ke makin ho gaya to har aaseb
nikal gaya hai mere jism-o-jaan ke andar se
main sirf dekhne aaya hun raunaq-e-bazar
gharaz nahin hai kisi bhi dukan ke andar se
nae sire se banana paDa hai ab KHud ko
talash kar ke mujhe raegan ke andar se
tere KHilaf gawahi jo ban gae hain wo lafz
liye gae hain tere hi bayan ke andar se
main darmiyan hun alaw ke aur meri aawaz
to sun raha hai usi darmiyan ke andar se
laga raha tu kisi din kashid kar lunga
nai zaban purani zaban ke andar se
abhi to ye dar-o-diwar jaante hain mujhe
abhi to main nahin nikla makan ke andar se
'zahir' par utarne ka faisla jo kiya
kinara mil gaya aab-e-rawan ke andar se

Ghazal
Zara ishaara hua aasman ke andar se
Sanaullah Zaheer