اردو हिंदी
Zanjir se uThti hai sada sahmi hui si | Shaahi Shayari
zanjir se uThti hai sada sahmi hui si

Ghazal

Zanjir se uThti hai sada sahmi hui si

Arsh Siddiqui

;

zanjir se uThti hai sada sahmi hui si
jari hai abhi gardish-e-pa sahmi hui si

dil TuT to jata hai pe girya nahin karta
kya Dar hai ki rahti hai wafa sahmi hui si

uTh jae nazar bhul ke gar jaanib-e-aflak
honTon se nikalti hai dua sahmi hui si

han hans lo rafiqo kabhi dekhi nahin tum ne
namnak nigahon mein haya sahmi hui si

taqsir koi ho to saza umr ka rona
miT jaen wafa mein to jaza sahmi hui si

han hum ne bhi paya hai sila apne hunar ka
lafzon ke lifafon mein baqa sahmi hui si

har luqme pe khaTka hai kahin ye bhi na chhin jae
mede mein utarti hai ghiza sahmi hui si

uThti to hai sau bar pe mujh tak nahin aati
is shahr mein chalti hai hawa sahmi hui si

hai 'arsh' wahan aaj muhit ek KHamoshi
jis rah se guzri thi qaza sahmi hui si