zanjir-e-pa se aahan-e-shamshir hai talab
shayad teri gali mein na pahunche ye shor ab
aaKHir jhalak uThi wo gareban ke chaak se
jis intizar-e-subh mein guzri thi meri shab
yaad aai dil ko tere dar-e-nim-wa ki raat
rukne lage qadam jo sar-e-rah be-sabab
ye shan-e-dilbari hai ki wo jab bhi mil gaya
paya mizaj-e-dost ko aasuda-e-tarab
is taza-dam hawa mein mere mah-e-nim-mah
us baam se juda na kabhi ho tulu-e-shab
aankhen to khol daur-e-taghayyur hai ham-nashin
kuchh khiDkiyan to khol gai hai hawa-e-shab
chalne ko hai hawa-e-gul-o-lala ki jagah
ek naqb si lagati hui sarsar-e-aqab
aankhon pe ek jadu-e-zulmat sa chha gaya
haul-e-afrin hayyulon ke jumbish mein aae lab
kazib sahafaton ki bujhi rakh ke tale
jhulsa hua milega waraq-dar-waraq adab
duniya badal gai hai hisab aur ho gae
ramz-e-taghayyur-e-ruKH-e-alam hue hain sab
sadiyon mein ja ke banta hai aaKHir mizaj-e-dahr
'madni' koi taghayyur-e-alam hai be-sabab
Ghazal
Zanjir-e-pa se aahan-e-shamshir hai talab
Aziz Hamid Madni