zamzama kis ki zaban par ba-dil-e-shad aaya
munh na khola tha ki par bandhne sayyaad aaya
qad jo buTa sa tera sarw-e-rawan yaad aaya
ghash pe ghash mujh ko chaman mein tah-e-shamshad aaya
le uDi dil ko su-e-dasht hawa-e-wahshat
phir ye jhonka mujhe kar dene ko barbaad aaya
kis qadar dil se faramosh kiya aashiq ko
na kabhi aap ko bhule se bhi main yaad aaya
dil hua sarw-e-gulistan ke nazare se nihaal
shajar-e-qamat-e-dildar mujhe yaad aaya
ho gai qata asiri mein umid-e-parwaz
uD gae hosh jo par kaTne sayyaad aaya
ho gaya hasrat-e-parwaz mein dil sau TukDe
hum ne dekha jo qafas ko to falak yaad aaya
Ghazal
Zamzama kis ki zaban par ba-dil-e-shad aaya
Amanat Lakhnavi