zamin thi saKHt mujhe koi naqsh-e-pa na mila
teri gali se jo nikla to rasta na mila
dua thi chiKH thi ya ehtijaj tha kya tha
hile the honT magar harf-e-muddaa na mila
badan ki qaid se chhuTa to log pahchane
tamam-umr kisi ko mera pata na mila
main chahta tha ki tewar bhi dekh le mere
ghanim jab bhi mila mujh se ghaebana mila
nafas nafas koi mujh ko pukarta kyun hai
nazar ko jab ki basarat ka zaiqa na mila
ye bazm-e-sher-o-adab hai ki kucha-e-bad-nam
yahan to jo bhi mila hai munafiqana mila
mile hain yun to bahut tishnagi ke dasht 'ziya'
koi bhi dasht magar misl-e-karbala na mila

Ghazal
Zamin thi saKHt mujhe koi naqsh-e-pa na mila
Zia Faruqi