zamin se ta-ba-falak koi fasla bhi nahin
magar ufuq ki taraf koi dekhta bhi nahin
suna hai sabz rida oDh li chaman ne magar
hawa ke zor se barg-e-KHizan gira bhi nahin
bahut basit hai dasht-e-jafa ki tanhai
qarib-o-dur koi aahu-e-wafa bhi nahin
mujhe to ahd ka aashob kar gaya patthar
main dard-mand kahan dard-ashna bhi nahin
kabhi KHayal ke rishton ko bhi TaTol ke dekh
main tujh se dur sahi tujh se kuchh juda bhi nahin
qadam qadam pe shikaston ka samna hai magar
ye dil wo shisha-e-jaan hai ki TuTta bhi nahin
mere wajud mein barpa hai is KHayal se hashr
jo mere zehn mein paida abhi hua bhi nahin
main jis ke sehr se koh-e-nida tak aa pahuncha
wo harf abhi mere lab se ada hua bhi nahin
main ek gumbad-e-be-dar mein qaid hun 'arif'
meri nawa ka safar warna be-rida bhi nahin
Ghazal
Zamin se ta-ba-falak koi fasla bhi nahin
Arif Abdul Mateen