اردو हिंदी
Zamin se arsh talak silsila hamara bhi tha | Shaahi Shayari
zamin se arsh talak silsila hamara bhi tha

Ghazal

Zamin se arsh talak silsila hamara bhi tha

Farhat Ehsas

;

zamin se arsh talak silsila hamara bhi tha
ki chashm-e-KHak mein ek KHwab sa hamara bhi tha

tu apne ghar ki taraf moD le gaya hai jise
zamin se puchh ki ye rasta hamara bhi tha

ye sab charagh jalae hue hamare bhi hain
bala-e-shab ka kabhi samna hamara bhi tha

hamare panw bhi paDte na the zamin pe kabhi
kabhi kahin yahi taKHt-e-hawa hamara bhi tha

ye hain jo bagh mein bos-o-kanar ke manzar
gae dinon mein yahi mashghala hamara bhi tha

kisi ki zulf mein dekha to hum ko yaad aaya
ki ek phul usi rang ka hamara bhi tha

yahi sharab kabhi hum bhi KHub pite the
usi nashe mein sar uDta hua hamara bhi tha

zamin hilti thi yun hi hamare aane se bhi
isi tarah ka kabhi zalzala hamara bhi tha

jo ab tumhaare tasarruf mein hai miyan-'ehsas'
kabhi ye arsa-e-arz-o-saman hamara bhi tha