اردو हिंदी
Zamin phir dard ka ye saeban koi nahin dega | Shaahi Shayari
zamin phir dard ka ye saeban koi nahin dega

Ghazal

Zamin phir dard ka ye saeban koi nahin dega

Zafar Gorakhpuri

;

zamin phir dard ka ye saeban koi nahin dega
tujhe aisa kushada aasman koi nahin dega

abhi zinda hain hum par KHatm kar le imtihan sare
hamare baad koi imtihan koi nahin dega

jo pyase ho to apne sath rakkho apne baadal bhi
ye duniya hai wirasat mein kuan koi nahin dega

milenge muft sholon ki qabaen banTne wale
magar rahne ko kaghaz ka makan koi nahin dega

KHud apna aks bik jae asir-e-aina ho kar
yahan is dam par nam o nishan koi nahin dega

hamari zindagi bewa dulhan bhigi hui lakDi
jalenge chupke chupke sab dhuan koi nahin dega