اردو हिंदी
Zamin pe rah ke kahan fikr-e-asman rakhna | Shaahi Shayari
zamin pe rah ke kahan fikr-e-asman rakhna

Ghazal

Zamin pe rah ke kahan fikr-e-asman rakhna

Jawed Manzar

;

zamin pe rah ke kahan fikr-e-asman rakhna
tum apne dost jo rakhna to ham-zaban rakhna

mohabbaton ko nae hausle ata karna
adawaton ko tah-e-tegh ham-rahan rakhna

bikhar na jae meri zindagi ka shiraaza
mere KHuda meri himmat ko tu jawan rakhna

ye mashghala bhi ajab hai hamare beTe ka
har ek chiz uThana yahan-wahan rakhna

banana ret ke ghar tum ko yaad to hoga
phir in gharon mein mohabbat ki sipiyan rakhna