اردو हिंदी
Zamin pe khulti rahi hain kaliyan falak pe tare uga kiye hain | Shaahi Shayari
zamin pe khulti rahi hain kaliyan falak pe tare uga kiye hain

Ghazal

Zamin pe khulti rahi hain kaliyan falak pe tare uga kiye hain

Khurshid-ul-islam

;

zamin pe khulti rahi hain kaliyan falak pe tare uga kiye hain
yahi karishme hua karenge yahi karishme hua kiye hain

junun nahin hai ki chaak-e-daman ko aabru-e-bahaar samjhen
KHizan ki yalghaar mein bhi hamdam hum apna daman siya kiye hain

kise KHabar thi ki mai-paraston ko un ki KHatir aziz hoga
wo zahr-e-gham jo na tha gawara wo zahr-e-gham jo piya kiye hain

KHuda hai shahid ki zindagi mein wo sajda-ha-e-gham-e-mohabbat
qaza hue the jo gahe-gahe ba-shart-e-fursat ada kiye hain

nahin hai mauquf sar-kashi par mere lahu mein kuchh aur bhi hai
hazar pahlu hain kufr-o-din ke jo apne haq mein rawa kiye hain

uThao mina ki sham-e-gham ko sahar ke anwar se badal den
ye dagh-e-hasrat to be-takalluf jala karenge jala kiye hain