zamin par na rahe aasman ko chhoD diya
tumhaare baad zaman o makan ko chhoD diya
tabah kar gaya ek lamha-e-KHarab mujhe
ki main ne halqa-e-awargan ko chhoD diya
kahin panah nahin milti lamha bhar ke liye
ki jab se mahfil-e-dil-dadgan ko chhoD diya
bas ek kunj-e-KHas-o-KHak mein sukun mila
so main ne halqa-e-sayyargan ko chhoD diya
tumhaare baad guzishta raha na haal raha
so dil ne KHadsha-e-aindagan ko chhoD diya
Ghazal
Zamin par na rahe aasman ko chhoD diya
Faheem Shanas Kazmi