zamin nai thi anasir ki KHu badalti thi
hawa se pahle jazire pe dhup chalti thi
nigah bahalne lagi thi hasin manazir se
bas ek ranj ki haalat nahin bahalti thi
us ek charag se chehre ki did mushkil thi
nazar ki lau kabhi girti kabhi sambhalti thi
hamare dasht ko wahshat nahin mili thi abhi
so us ke dil mein koi aabju machalti thi
saDak ka surmai dil bichh raha tha pairon mein
wo gul-nazhad kahin sair ko nikalti thi
hamari KHak tabarruk samajh ke le jao
hamari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi
Ghazal
Zamin nai thi anasir ki KHu badalti thi
Bilal Ahmad