zamin ki aankh KHali hai dinon baad
falak par KHushk-sali hai dinon baad
sajaane KHak ka bistar lahu ne
alag kya rah nikali hai dinon baad
kahin chashm-e-jabin phir khul na jae
ki dasht-e-dil jalali hai dinon baad
samajh mein waqt ka aaya karishma
nazar KHud par jo Dali hai dinon baad
kaha us ne bil-aKHir muskura kar
teri duniya nirali hai dinon baad
ajab ek kashmakash si andarun hai
ziya bhi kali kali hai dinon baad
koi majnun magar aata nahin hai
mera sahra sawali hai dinon baad
KHuda rakkhe tujhe aabaad 'sajid'
ghazal tu ne bana li hai dinon baad
Ghazal
Zamin ki aankh Khaali hai dinon baad
Sajid Hameed