zamin ke sare manazir se kaT ke sota hun
main aasman ke safar se palaT ke sota hun
main jama karta hun shab ke siyahi qatron ko
ba-waqt-e-subh phir un ko palaT ke sota hun
talash dhup mein karta hun sara din KHud ko
tamam-raat sitaron mein baT ke sota hun
kahan sukun ki shab-o-roz ghumna us ka
zara zamin ke mehwar se haT ke sota hun
tere badan ki KHalaon mein aankh khulti hai
hawa ke jism se jab jab lipaT ke sota hun
main jag jag ke raaten guzarne wala
ek aisi raat bhi aati hai DaT ke sota hun

Ghazal
Zamin ke sare manazir se kaT ke sota hun
Ameer Imam