اردو हिंदी
Zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh | Shaahi Shayari
zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh

Ghazal

Zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh

Rafi Raza

;

zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh
utar phenk dun kandhon se do-jahan ka bojh

paDa hua hun main sajde mein kah nahin pata
wo baat jis se ki halka ho kuchh zaban ka bojh

phir is ke baad uThaunga apne aap ko main
uTha raha hun abhi apne KHandan ka bojh

dabi thi aankh kabhi jis makan-e-hairat se
ab us makan se ziyaada hai la-makan ka bojh

agar dimagh sitara hai TuT jaega
chamak chamak ke uThata hai aasman ka bojh

to jhurriyon ne likha aur kya uThaoge
uThaya jata nahin tum se jism o jaan ka bojh

palaT ke aai jo ghaflat ke us kurre se nigah
to silwaTon mein paDa tha meri thakan ka bojh

jo umr bit gai us ko bhul jaun 'raza'
pur-KHayal se jhaTkun gai uDan ka bojh