zamin-e-dil ek arse baad jal-thal ho rahi hai
koi barish mere andar musalsal ho rahi hai
lahu ka rang phaila hai hamare canwas par
teri taswir ab ja kar mukammal ho rahi hai
hawa-e-taza ka jhonka chala aaya kahan se
ki muddat baad si pani mein halchal ho rahi hai
tujhe dekhe se mumkin maghfirat ho jae us ki
tere bimar ki bas aaj aur kal ho rahi hai
wo sahab aa hi gai band-e-qaba kholne lage hain
paheli thi jo ek uljhi hui hal ho rahi hai

Ghazal
Zamin-e-dil ek arse baad jal-thal ho rahi hai
Azhar Iqbal