zamin chiKH rahi hai ki aasman gira
ye kaisa bojh hamare badan pe aan gira
bahut sambhaal ke rakh be-sabaat lamhon ko
zara jo sanki hawa ret ka makan gira
is aaine hi mein logon ne KHud ko pahchana
bhala hua ki main chehron ke darmiyan gira
rafiq-e-samt-e-safar hogi jo hawa hogi
ye soch kar na safine ka baadban gira
main apne ahd ki ye tazgi kahan le jaun
ek ek lafz qalam se lahuluhan gira
qarib o dur koi shola-e-nawa bhi nahin
ye kin andheron mein hathon se shama-dan gira
'faza' ko toD to phenka hawaon ne lekin
ye phul apni hi shaKHon ke darmiyan gira
Ghazal
Zamin chiKH rahi hai ki aasman gira
Faza Ibn e Faizi