zamanon se dar-e-imkan par rakkhe hue hain
charaghon ki tarah tufan par rakkhe hue hain
fazaon mein mahak jalne ki bu phaili hui hai
kisi ne phul aatish-dan par rakkhe hue hain
zara sa bhi guman teri shabahat ka tha jin par
wo sab chehre meri pahchan par rakkhe hue hain
KHushi ko DhunDhna mumkin nahin is kaifiyat mein
kuchh aise sanehe muskan par rakkhe hue hain
koi teri parastish ki nahin surat nikalti
hazaron kufr ek iman par rakkhe hue hain
shikam-seri se pahle lamha-bhar ko soch lena
hamare KHwab dastar-KHwan par rakkhe hue hain
kisi ke roz-o-shab bikne ki qimat chand luqme
to kya wo bhi tere ehsan par rakkhe hue hain

Ghazal
Zamanon se dar-e-imkan par rakkhe hue hain
Sarwar Arman