اردو हिंदी
Zamane ke darbar mein dast-basta hua hai | Shaahi Shayari
zamane ke darbar mein dast-basta hua hai

Ghazal

Zamane ke darbar mein dast-basta hua hai

Khalid Iqbal Yasir

;

zamane ke darbar mein dast-basta hua hai
ye dil us pe mail magar rafta rafta hua hai

achanak hi hathiyar wale nahin saKHt-jaan ne
jigar waqt ke sath KHasta shikasta hua hai

kahin andar andar sulagti thi chingari koi
magar hadsa aaKHir-e-kar sham-e-guzishta hua hai

kai bar jallad ne khinch dekha hai us ko
magar munjamid dar ka sard taKHta hua hai

KHabar-dar rahne laga shahryar us se 'yasir'
qalam mere hathon mein KHanjar ka dasta hua hai