zamane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai
yahi hai rang duniya ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai
jawani ki hai aamad husn ki har-dam taraqqi hai
teri surat tera naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai
na aaega qarar us ko na mumkin hai qayam us ko
hamara dil tera wada abhi kuchh hai abhi kuchh hai
kabhi to justuju us ki kabhi gum aap ho jaana
meri wahshat mera sauda abhi kuchh hai abhi kuchh hai
ghurur-e-husn hai sar mein KHayal-e-dilbari dil mein
dimagh un ka mizaj un ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai
zara main mehrban hona zara main jaan ke dushman
ajab dil hai hasinon ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai
tumhein kyun is qadar gham hai 'hafiz' apni tabahi ka
yahi duniya ka hai naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai
Ghazal
Zamane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai
Hafeez Jaunpuri