zamana meri tabahi pe jo udas hua 
main apne aap se ai dost ru-shanas hua 
mere KHulus ke phulon se jo uDi KHushbu 
tumhaare tanz ka mausam bhi bad-hawas hua 
jamal-e-sehn-e-gulistan hamin se qaem hai 
hamare KHun se har phul KHush-libas hua 
akela peD hi mausam ka war sahta raha 
shikasta-barg bhi koi na aas-pas hua 
kabhi jo TuTa sitara kisi ko aaya nazar 
to bazm-e-ghair mein mera hi zikr-e-KHas hua 
safir-e-subh-e-daraKHshan chala jo mashriq se 
dayar-e-shab ka shahanshah bad-hawas hua
        Ghazal
Zamana meri tabahi pe jo udas hua
Shaheen Badr

