اردو हिंदी
Zamana be-karan tha, be-karan humne nahin rakkha | Shaahi Shayari
zamana be-karan tha, be-karan humne nahin rakkha

Ghazal

Zamana be-karan tha, be-karan humne nahin rakkha

Mashkoor Husain Yaad

;

zamana be-karan tha, be-karan hum ne nahin rakkha
tere gham se wara koi jahan hum ne nahin rakkha

hamesha samne aae misal-e-subh-e-raKHshanda
kabhi maddham ujalon ka saman hum ne nahin rakkha

ata ki is ki zau se bazm-e-har-imkan ko tabani
kabhi dil ko charagh-e-nim-jaan hum ne nahin rakkha

rahe nashshe mein lekin intiha-e-KHaksari se
ki sar par be-KHudi ka aasman hum ne nahin rakkha

hamare aasman ka har sitara sab pe raushan hai
kisi zaKHm-e-mohabbat ko nihan hum ne nahin rakkha

kiya hai zabt bhi to dard ke tufan uThae hain
KHamoshi ko sukut-e-KHun-chakan hum ne nahin rakkha

hamara har suKHan sidha utarta hai dil-o-jaan mein
koi bhi KHanjar-e-gham, na-tawan hum ne nahin rakkha