zalzale sab dil ke andar ho gae
hadse ruman-parwar ho gae
kashtiyon ki qimaten baDhne lagin
jitne sahra the samundar ho gae
dhup mein pahle pighal jate the log
ab ke kya guzri ki patthar ho gae
wo nigahen kya phirin hum se ki hum
apni hi aankhon mein kam-tar ho gae
tum ki har dil mein tumhaara ghar hua
hum ki apne ghar mein be-ghar ho gae
Ghazal
Zalzale sab dil ke andar ho gae
Mazhar Imam