zaKHmon ko marham kahta hun qatil ko masiha kahta hun
jo dil par guzra karti hai main parda parda kahta hun
zulfon ko ghaTaen kahta hun ruKHsar ko shoala kahta hun
tum jitne achchhe lagte ho main us se achchha kahta hun
ab rit yahi hai duniya ki tum bhi na bano begana kahin
ilzam nahin dharta tum par ek ji ka dhDakna kahta hun
arbab-e-chaman jo kahte hain wo nam mujhe malum nahin
jis shaKH pe koi phul na ho main us ko tamanna kahta hun
'qaisar' wo nawa la-hasil hai jo aa ke labon par lahrae
chhu le jo dilon ki gahrai main us ko naghma kahta hun
Ghazal
ZaKHmon ko marham kahta hun qatil ko masiha kahta hun
Qaisar-ul-Jafri