اردو हिंदी
ZaKHmon ki munajat mein pinhan wo asar tha | Shaahi Shayari
zaKHmon ki munajat mein pinhan wo asar tha

Ghazal

ZaKHmon ki munajat mein pinhan wo asar tha

Yusuf Jamal

;

zaKHmon ki munajat mein pinhan wo asar tha
aankhon se Tapakta hua aansu bhi guhar tha

ashkon ki mayyat mein the maghmum andhere
sadmat ki har sej mein ek KHauf ka ghar tha

patte hon ki phal sab ka tha ek aur hi aalam
hairat hai magar is pe ki bauna wo shajar tha

darwaze makanon ke hue band sar-e-sham
kahte hain magar ye ki jiyalon ka nagar tha

kaisi wo hawas thi ki bani mojib-e-tazir
jannat se nikalwa diya kaisa wo samar tha