zaKHmon ka ek silsila achchha nahin laga
jarrah ko ye tajraba achchha nahin laga
us ne kiya salam to achchha laga magar
bas ye ki munh ka zawiya achchha nahin laga
mere junun ko wasl ki qurbat nigal gai
furqat se itna fasla achchha nahin laga
tum ne jo matn pesh kiya mustanad to tha
lekin tumhaara hashiya achchha nahin laga
aaina-gar ke hath mein patthar hain kis liye
shayad unhen bhi aaina achchha nahin laga
dasht-e-junun se aa gae shahr-e-KHirad mein hum
dil ko magar ye saneha achchha nahin laga
'KHalid' suna jo ruh ka naghma to phir kabhi
bulbul ko koi zamzama achchha nahin laga
Ghazal
ZaKHmon ka ek silsila achchha nahin laga
Khalid Mubashshir