zaKHmi na bhul jaen maze dil ki Tis ke
lillah chhiDke jao namak pis pis ke
ghussa hai zahr haq mein dil-e-be-anis ke
almas piste ho abas dant pis ke
maili nigah hoti hai aaina dekh kar
nazzare muddaton se hain ru-e-nafis ke
KHalwat mein hi tasawwur-e-jaanan nadim hai
talib jalis ke hain na KHwahan anis ke
mani na pae jauhar-e-shamshir-e-yar ke
TukDe jigar ke ho gae TukDe kasis ke
phika hi zaiqa dahan-e-zaKHm ka raha
kya bad-maza hua main namak pis pis ke
pir-e-falak kisi ko na dega zar-e-nujum
yani diram hain ye kaf-e-dast-e-KHasis ke
kaT kaT gaya main dekh ke mazmun-e-qatl ko
ai but qalam hon hath tere KHush-nawes ke
das bis har mahine mein abru nazar paDe
is sal sare chand hue tis tis ke
harf aa gaya shikastagi-e-dil ke likhne mein
TuTe qalam hazaron shikasta-nawes ke
likhte hain chhup ke katib-e-amal sab ka haal
aamal-nama parcha hain KHufya-nawes ke
maktub mein ibarat-e-rangin likho 'munir'
fiqre nahin pasand daqiq-o-salis ke
Ghazal
ZaKHmi na bhul jaen maze dil ki Tis ke
Muneer Shikohabadi