zaKHm sab us ko dikha kar raqs kar
eDiyon tak KHun baha kar raqs kar
jama-e-KHaki pe musht-e-KHak Dal
KHud ko miTTi mein mila kar raqs kar
is ibaadat ki nahin koi qaza
sar ko sajde se uTha kar raqs kar
dur haT ja saya-e-mehrab se
dhup mein KHud ko jala kar raqs kar
bhul ja sab kuchh magar taswir-e-yar
apne sine se laga kar raqs kar
toD de sab halqa-e-bud-o-nabud
zulf ke halqe mein ja kar raqs kar
us ki chashm-e-mast ko nazron mein rakh
ek zara masti mein aa kar raqs kar
apne hi pairon se apna-ap raund
apni hasti ko miTa kar raqs kar
us ke darwaze pe ja kar daf baja
us ko khiDki mein bula kar raqs kar

Ghazal
ZaKHm sab usko dikha kar raqs kar
Arif Imam