zaKHm khana hi jab muqaddar ho
phir koi phul ho ki patthar ho
main hun KHwab-e-giran ke narghe mein
raat guzre to marka sar ho
phir ghanimon se be-KHabar hai sipah
phir aqab se numud lashkar ho
kya ajab hai ki KHud hi mara jaun
aur ilzam bhi mere sar ho
hain zamin par jo gard-baad se hum
ye bhi shayad falak ka chakkar ho
us ko tabir hum karen kis se
wo jo hadd-e-bayan se bahar ho
dekhna hi jo shart Thahri hai
phir to aankhon mein koi manzar ho
Ghazal
ZaKHm khana hi jab muqaddar ho
Ahmad Mahfuz