اردو हिंदी
ZaKHm kha ke KHandan hain pairahan-darida hum | Shaahi Shayari
zaKHm kha ke KHandan hain pairahan-darida hum

Ghazal

ZaKHm kha ke KHandan hain pairahan-darida hum

Basheer Munzir

;

zaKHm kha ke KHandan hain pairahan-darida hum
zindagi ka nauha hum waqt ka qasida hum

jaane taba ke hathon kaun ghaT utrenge
shahr se gurezan hum dasht se ramida hum

zindagi ki aankhon mein raat-din khaTakte hain
KHas jo hain to la-sani KHar hain to chida hum

barg barg taza hai zaKHm zaKHm rista hai
mausam-e-bahaaran mein shaKH-e-nau-burida hum

bazm-e-rang-o-naghma mein kaun multafit hoga
aah-e-na-kashida hum harf-e-na-shanida hum