zaKHm kab ka tha dard uTha hai ab
us ke jaane ka dukh hua hai ab
meri aankhon mein KHwab hain jis ke
us ki aankhon mein rat-jaga hai ab
sunte aate hain qafila dil ka
rahguzar mein kahin ruka hai ab
wo jo patthar ka tha musafir wo
shahr-e-afsun se aa gaya hai ab
jo meri KHwahishon ki manzil thi
us ke aane ka rasta hai ab
jis ko DhunDa tha main ne har jaanib
mere dil mein kahin chhupa hai ab
kitne KHwabon mein rang us ke hain
kitni aankhon se dekhta hai ab
kitne mausam hain sirf us ke liye
kitne chehron pe wo saja hai ab
kitni baaton mein us ki baaten hain
kitne lahjon mein bolta hai ab
jo tere shahr le ke aata tha
ruKH wo dariya badal raha hai ab
aao dastak hi de ke dekhen to
wahi darwaza phir khula hai ab
is hawale se zindagi meri
ghane jangal ka silsila hai ab
ek diwana apni wahshat mein
baat kahne ki kah gaya hai ab
Ghazal
ZaKHm kab ka tha dard uTha hai ab
Tajdar Adil