اردو हिंदी
ZaKHm-e-nazara KHun-e-nazar dekhte raho | Shaahi Shayari
zaKHm-e-nazara KHun-e-nazar dekhte raho

Ghazal

ZaKHm-e-nazara KHun-e-nazar dekhte raho

Anvar Moazzam

;

zaKHm-e-nazara KHun-e-nazar dekhte raho
jo kuchh dikhae dida-e-tar dekhte raho

chashm-e-sadaf ke dard se sarf-e-nazar karo
kis tarah TuTte hain guhar dekhte raho

shayad kisi ka naqsh-e-kaf-e-pa chamak uThe
ai rahnumao rahguzar dekhte raho

gesu-e-shab sanwarne walo kabhi kabhi
aaina-e-nigar-e-sahar dekhte raho

aankhon mein ghul na jaen kahin zulmaton ke rang
jis samt raushni hai udhar dekhte raho