zaKHm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye
jo rah gai dilon mein wo hasrat se puchhiye
jaan-dadgan-e-aish ka anjam kya hua
aawargan-e-kucha-e-wahshat se puchhiye
main kho gaya hun apni zarurat ki bhiD mein
main kya hun mujh ko meri zarurat se puchhiye
afsos hai mujhe meri ghairat ki maut par
kyun ki hai KHud-kushi meri ghurbat se puchhiye
hum kyun hawas-parasti ka ilzam den use
sab aaj apni apni mohabbat se puchhiye
kahte hain kis ko hashr qayamat hai kis ka nam
ham-sakinan-e-shahr-e-qayamat se puchhiye
khulte kahan hain sab pe ye asrar harf ke
ramz-e-suKHan ko ahl-e-farasat se puchhiye
kyun wo zaban-daraaz bhi KHamosh ho gaya
'shahid'-kamal us ki raunat se puchhiye

Ghazal
ZaKHm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye
Shahid Kamal