zaKHm-e-dil tujh se main chhupaun kya
dard sah kar bhi muskuraun kya
ho ijazat to teri mahfil mein
apni qismat ko aazmaun kya
kyun ishaaron mein kah raha hai tu
saf kah de ki bhul jaun kya
yun to ye daur hai latifon ka
tum kaho to ghazal sunaun kya
aish-o-ishrat ke waste ai dil
daw iman ka lagaun kya
sab ka kirdar jo sajata hai
aaina wo tujhe dikhaun kya
roTi kapDa makan mile sab ko
KHwab aise 'asar' sajaun kya

Ghazal
ZaKHm-e-dil tujhse main chhupaun kya
Pramod Sharma Asar