zaKHm dil ke agar siye hote
ahl-e-dil kis tarah jiye hote
wo mile bhi to ek jhijhak si rahi
kash thoDi si hum piye hote
aarzu mutmain to ho jati
aur bhi kuchh sitam kiye hote
lazzat-e-gham to baKHsh di us ne
hausle bhi 'adam' diye hote
Ghazal
ZaKHm dil ke agar siye hote
Abdul Hamid Adam