zaKHm agar gul hai to phir us ka samar bhi hoga
hijr ki raat mein poshida qamar bhi hoga
hausla dad ke qabil hai yaqinan us ka
us ko malum tha dariya mein bhanwar bhi hoga
kaun sunta hai yahan past-sadai itni
tum agar chiKH ke bolo to asar bhi hoga
kuchh na kuchh raKHt-e-safar pas bacha kar rakhna
ek safar aur pas-e-KHatm-e-safar bhi hoga
mutmain rahiye yunhi KHud ko tasalli dije
yahi jina yahi jine ka hunar bhi hoga
umr guzri hai isi ek tamanna mein 'nadim'
mujh se be-ghar ka kahin shahr mein ghar bhi hoga
Ghazal
ZaKHm agar gul hai to phir us ka samar bhi hoga
Javed Nadeem