zahar lagta hai ye aadat ke mutabiq mujh ko
kuchh munafiq bhi batate hain munafiq mujh ko
din chaDhe dhup ki baaten nahin sunta koi
chandni-raat pukare tera aashiq mujh ko
kashtiyan reshmi KHwabon ki jala kar jaana
kis ki chahat ne bana rakkha hai 'tariq' mujh ko
aap ke nam pe main had mein raha hun lekin
aap ke nam pe duniya ne kiya diq mujh ko
main ne suraj ki tarah KHud ko banaya jis din
dekhne aaenge ye maghrib-o-mashriq mujh ko
aap kahte to zara dil ko tasalli hoti
kahne walon ne kaha aashiq-e-sadiq mujh ko
Ghazal
Zahar lagta hai ye aadat ke mutabiq mujhko
Anjum Barabankvi