zahar deta hai koi koi dawa deta hai
jo bhi milta hai mera dard baDha deta hai
kisi hamdam ka sar-e-sham KHayal aa jaana
nind jalti hui aankhon ki uDa deta hai
pyas itni hai meri ruh ki gahrai mein
ashk girta hai to daman ko jala deta hai
kis ne mazi ke darichon se pukara hai mujhe
kaun bhuli hui rahon se sada deta hai
waqt hi dard ke kanTon pe sulae dil ko
waqt hi dard ka ehsas miTa deta hai
'naqsh' rone se tasalli kabhi ho jati thi
ab tabassum mere honTon ko jala deta hai
Ghazal
Zahar deta hai koi koi dawa deta hai
Naqsh Layalpuri