اردو हिंदी
Zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna | Shaahi Shayari
zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna

Ghazal

Zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna

Ayub Khawar

;

zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna
itna aasan bhi nahin tujh se mohabbat karna

tujh se kahne ki koi baat na karna tujh se
kunj-e-tanhai mein bas KHud ko alamat karna

ek bagule ki tarah DhunDte phirna tujh ko
ru-ba-ru ho to na shikwa na shikayat karna

hum gadayan-e-wafa jaante hain ai dar-e-husn
umr bhar kar-e-nadamat pe nadamat karna

ai asir-e-qafas sahr-e-ana dekh aa kar
kitna mushkil hai tere shahr se hijrat karna

phir wahi KHar-e-mughilan wahi virana hai
ai kaf-e-pa-e-junun phir wahi zahmat karna

surat mah-e-munir ab ke sar-e-baam aa kar
hum gharibon ko bhi kuchh ranj inayat karna

jama karna tah-e-mizhgan tujhe qatra qatra
raat bhar phir tujhe TukDon mein riwayat karna

kaam aisa koi mushkil to nahin hai 'KHawar'
magar ek dast-e-hina-rang pe baiat karna