zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai
aadmi ki ungli mein phans bhi khaTakti hai
kya kisi nawazish ki poll khol di main ne
aankh jhenpti kyun hai kyun zaban bahakti hai
ham-qafas nasibon se gulsitan ka kya rishta
jis tarah koi Dali TuT kar laTakti hai
sathiyo thake-mande haarte ho himmat kyun
dur se koi manzil din mein kab chamakti hai
kaam azm-o-himmat se insiram pate hain
kahili ki mat suniye kahili to bikti hai
jis ko nikhat-o-gul se wasta nahin hota
KHush-libas phulon mein wo nazar bahakti hai
'shad' in andheron mein kahkashan ki manzil se
raat ke guzarne ki subh rah takti hai
Ghazal
Zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai
Shaad Aarfi

