zaban suKHan ko suKHan bankpan ko tarsega
suKHan-kada meri tarz-e-suKHan ko tarsega
nae piyale sahi tere daur mein saqi
ye daur meri sharab-e-kuhan ko tarsega
mujhe to KHair watan chhoD kar aman na mili
watan bhi mujh se gharib-ul-watan ko tarsega
inhi ke dam se farozan hain millaton ke charagh
zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega
badal sako to badal do ye baghban warna
ye bagh saya-e-sarw-o-saman ko tarsega
hawa-e-zulm yahi hai to dekhna ek din
zamin pani ko suraj kiran ko tarsega
Ghazal
Zaban suKHan ko suKHan bankpan ko tarsega
Nasir Kazmi