اردو हिंदी
Zaban sakit ho qat-e-guftugu ho | Shaahi Shayari
zaban sakit ho qat-e-guftugu ho

Ghazal

Zaban sakit ho qat-e-guftugu ho

Ghubaar Bhatti

;

zaban sakit ho qat-e-guftugu ho
nazar hi se bayan-e-arzu ho

jahan main hun wahan par tu hi tu ho
jahan tu ho jahan-e-rang-o-bu ho

shahid-e-naz yun hi surKH-ru ho
shafaq munh par ho daman par lahu ho

wafur-e-yas o josh-e-ibtila mein
zaban par aayat-e-la-taqnatu ho

jo rang-e-gul se Tapka hai chaman mein
na meri hi tamanna ka lahu ho

harim-kaba se bhi mohtaram hai
wo dil jis mein ki teri aarzu ho

maaz-allah pas-manzar chaman ka
na ai dil yun asir-e-rang-o-bu ho

namaz-e-ishq kuchh aasan nahin hai
jigar ke KHun se pahle to wuzu ho

hun KHar-e-rah tak gulshan-ba-daman
agar tu hi maal-e-justuju ho

'ghubar'-e-KHasta us kuche se uTh kar
na kyun aawara har su ku-ba-ku ho