zaban raqs mein hai aur jhumta hun main
ki dastan-e-mohabbat suna raha hun main
na puchh mujh se meri be-KHudi ka afsana
kisi ki mast-nigahi ka majra hun main
kahan ka zabt-e-mohabbat kahan ki tasiren
tasalliyan dil-e-muztar ko de raha hun main
phir ek shola-e-pur-pech-o-tab bhaDkega
ki chand tinkon ko tartib de raha hun main
tumhaare ishq mein miT kar tumhein dikha dunga
nigah-e-naz ka iman samajh gaya hun main
Ghazal
Zaban raqs mein hai aur jhumta hun main
Gopal Mittal