zaban kya hai mohabbat ki guftugu kya hai
ba-juz nigah ke paigham-e-arzu kya hai
ye jaan-e-husn-e-mohabbat hai aarzu kya hai
na ho ye dil mein to main kya hun aur tu kya hai
lahu jo garm na kar de wo aarzu kya hai
jo aarzu se na garmae wo lahu kya hai
KHuda kare na kare husn se tajawuz-e-ishq
abhi to mujh se wahi kah rahe hain tu kya hai
tujhe bhi bhul gae tere DhunDne wale
ye hosh bhi to nahin hai ki justuju kya hai
baja ki KHun ki garmi ka nam hai insan
na ho jo garm-e-mohabbat se wo lahu kya hai
ghalat samajh ke nahin dekhta hun teri taraf
ye dekhta hun ki andaz-e-guftugu kya hai
jinhen hai tujh se mohabbat wo jaante bhi nahin
ki rashk kahte hain kis chiz ko adu kya hai
rahe ilahi mere dil ki aabru qaem
sadaf mein hai ye guhar dil mein aarzu kya hai
hai un ki jumbish-e-abru pe aabru ka madar
jo jaante bhi nahin hain ki aabru kya hai
siwae zauq-e-nazar aur kuchh nahin 'bismil'
ye phul kya hain ye phulon mein rang-o-bu kya hai
Ghazal
Zaban kya hai mohabbat ki guftugu kya hai
Bismil Saeedi