zaban hai be-KHabar aur be-zaban dil
kahe kis tarah se raaz-e-nihan dil
nahin duniya ko dildari ki aadat
sunae kis ko apni dastan dil
na puchho be-Thikanon ka Thikana
wahin hum bhi the sargardan jahan dil
kaTi hai zindagi sab ranj khate
kahe kya umar bhar ki dastan dil
hamein bhi thi kabhi milne ki lazzat
hamara bhi kabhi tha naujawan dil
na baz aaunga main ulfat se jab tak
uThae jaega jaur-e-butan dil
gham-e-ulfat gham-e-duniya gham-e-din
uThae bar kya kya na-tawan dil
samajh mein KHak aae aql ki baat
gae hosh-o-KHirad aaya jahan dil
unhen rahm aae to kya aae 'parwin'
wo la-parwa hai mera be-zaban dil

Ghazal
Zaban hai be-KHabar aur be-zaban dil
Parveen Umm-e-Mushtaq