zaban-e-KHalq ko chup aastin ko tar pa kar 
main aab-dida hawa KHun ko dar-ba-dar pa kar 
ye kis ke qurb ki KHushbu basi hai sanson mein 
ye mujh se kaun mila mujh ko be-KHabar pa kar 
safar ki shart kabhi is qadar kaDi kab thi 
thakan kuchh aur baDhi saya-e-shajar pa kar 
wo sabz-tan tha shafaq pairahan khula us par 
bana gulab sa wo lams yak nazar pa kar 
wo na-shanas-e-tabiat hai jaanta tha main 
wo hairaton mein raha tegh ko sipar pa kar 
abhi abhi main jise dafn kar ke lauTa hun 
bahut ajib laga us ko apne ghar pa kar
        Ghazal
Zaban-e-KHalq ko chup aastin ko tar pa kar
Siddique Mujibi

